Posts

Showing posts with the label insight

Wo

Wo mujhe kuch to samajhta hai Kya aur kitna, nahi maaloom Na kabhi maine poocha Na usne kabhi kaha. Kyun? Kya maaloom. Wo mera naam to leta hai Baar baar Likh kar Kyun? Kya maaloom. Wo kareeb aana to chahe Par durr se hi dekhe Waqt ka jaana Kyun? Kya maaloom. Guzrate huye saalon main Hum roo b roo huye itne Ki bas Haal chaal poocha Na gale mile, na roye. Kyun? Kya maaloom.